Ahmed Nadeem Qasmi Best Poetry Collection, Urdu Poetry Collection, Urdu Shahiri

Ahmed Nadeem Qasmi Best Poetry Collection, Urdu Poetry Collection, Urdu Shahiri

Ahmad Nadeem Qasmi Become A Widely Recognized Pakistani Poet And Jounalist. He Wrote Nearly 50 Books On Subjects Like Poetry And Fiction.

His Actual Call Have Become Ahmad Shah Awan However Selected To Use “Ahmad Nadeem Qasmi” As His Pen Call (Takhallus). He Become Born In Angah And Died In Lahore, Pakistan.

His Bibliography Includes 3 Poetry Books And Numerous Brief Testimonies. Here Is An Entire Listing ;

                                                       Ahmed Nadeem Qasmi

Poetry Books :

Jalal-O-Jamal

Kisht-I-Wafa

Shola-I-Gul

Short Stories :

Chopaal

Aabley

Kapaas Ka Phool

Tuloo-O-Gharoob

Gandasa

Anchal

Sannata

Sailab-O-Gardab

Nila Pathar

Ghar Se Ghar Tak

Dawam-Dar-O-Deewar

Jhoota

Aas Paas

Bazar-E-Hayat
























                                       



Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna

Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna
Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna

Chot Khana, Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey Se Ujahely Rakhna

Apne Ehbaab Ko Seeney Se Lagaye Phira
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna

Meri Pehchan Mere Peer-E-Hin Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna

Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem
Kuch Zaroori Tou Nahin Paon Mein Chaley Rakhna

-Ahmed Nadeem Qasmi


Ek Lamhe Ko Thehar, Main Tujhe Pathar Laa Doon,

Ek Lamhe Ko Thehar, Main Tujhe Pathar Laa Doon,
Main Tere Samne Ambaar Laga Doon Lekin,

Kaun Se Rang Ka Pathar Tere Kaam Ayega,
Surkh Pathar Jise Dil Kehati Hai Bedil Duniya,

Ya Vo Pathraai Hui Aankh Ka Neela Pathar,
Jis Mein Sadiyon Ke Tahayur Ke Pade Hon Dore

Kya Tujhe Rooh Ke Pathar Ki Zaroorat Hogi,
Jis Pe Har Baat Bhi Patthar Ki Tarah Girti Hai,

Ik Woh Pathar Hai Jise Kehte Hain Tahzeeb-E-Safed,
Us Ke Mar-Mar Mein Siyaah Khoon Jhalak Jataa Hai,

Ik Insaaf Ka Pathar Bhi To Hota Hai Magar
Haath Mein Teshaa-E-Zar Ho To Woh Haath Aata Hai

Jitne Mayaar Hain Is Daur Ke Sab Pathar Hain,
Sher Bhi Raqs Bhi Tasveer-O-Ghina Bhi Pathar,

Mere Ilhaam Tera Zehn-E-Rasa Bhi Pathar,
Is Zamane Mein Har Fan Ka Nishaan Pathar Hai,

Haath Pathar Hain Tere Meri Zubaan Pathar Hai,
Ret Se Butt Na Bana Aye Mere Ache Fankaar 

-Ahmed Nadeem Qasmi


Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai

Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai
Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gaye Kon Aya Hai

Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai
Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai

Mein Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko
Ankhon Ki Ibaadat Ka Mein Ne Bss Aik Yehi Phal Paya Hai

Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi O Gham Ke Hangamey
Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai 

-Ahmed Nadeem Qasmi
Khuda Kare Ke Meri Arz Pak Par Utre

Khuda Kare Ke Meri Arz Pak Par Utre
Wo Fasl Gul Jise Andesha Zawal Na Ho

Yahan Jo Phool Khile Wo Khila Rahe Barson
Yahan Khizan Ko Guzarne Ki Bhi Majal Na Ho

Yahan Jo Sabza Uge Wo Hamesha Sabz Rahe
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misal Na Ho

Ghani Ghataen Yahan Aisi Barishen Barsaen
Ke Patharon Se Bhi Roedgi Mahal Na Ho

Khuda Kare Ke Waqar Iss Ka Gair Fani Ho
Aur Iss Ke Husn Ko Tashwish Mah O Saal Na Ho

Har Ek Fard Ho Tehzeb O Fun Aoj Kamal
Koi Malol Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho 

-Ahmed Nadeem Qasmi


Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar Aata Hai

Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar Aata Hai
Rasta Dekhte Rehna Bi Ab Asan Na Rha,

Ratain Roti Hain K Wo Chand Na Ubra Ab Tak
Din Bilakte Hain K Wo Mehr Drakhsan Na Rha,

Pard-E Arz-O Sama Ka Ye Tkluf Kesa
In Hijabon Mai Tu Jalwa Tera Pinha Na Raha,

Tuj Se Ik Aas Lgai Thi Par Ae Jan-E Nadeem
Ye Dia Bi Mere Sene Mai Frozan Na Rha,


Urdu Poetry – Independence Day

Khuda Kare Ke Meri Arz-E-Pak Par Utre,

Woh Fasal-E-Gul Jise Andesha-E-Zawal Na Ho

Yahan Jo Phool Khilay Wo Khila Rahe Sahayon

Yahan Khazan Ko Guzarne Ki Bi Majal Na Ho

Ghani Ghtayen Yahan Aesi Barishain Barsayain

Ke Pathron Se Bi Roedgi Mahal Na Ho

Khuda Kare Ka Na Kham Ho Sar-E Waqar-E-Watan

Aur Is Ke Husn Ko Tashwesh-E Maho Sal Na Ho

Aik Fard Ho Tahzeeb-0-Fan Ka Ooj Kamal

Koi Malwal Na Ho Koi Khasta Hal Na Ho

Khuda Kare Ke Mere Aik Bi Ham Watan Ke Liye

Hayat Jurm Na Ho Zindagi Wabal Na Ho.



                                      Baba Bulleh Shah Poetry >>
                                       
                                      Mirza Ghalib Poetry >> 

                                     Gulzar Poetry >> 

                                    Parveen Shakir Poetry >>

          Rahat Indori Poetry >> 

                                    Faiz Ahmed Faiz Poetry >> 

                                    Ada Jafri Poetry >>

                                  Faraz Ahmed Poetry >>

                                Munir Niazi Poetry >>

                          













Post a Comment

0 Comments