Rahat Indori Poetry, Rahat Indori Kavita,Rahat indori shahiri, Rahat Indori Urdu Hindi Shahiri

Rahat Indori Poetry, Rahat Indori Kavita,Rahat indori shahiri, Rahat Indori Urdu Hindi Shahiri



Rahat Indori In A Glance
Born : 01/01/1950 Indore, Mp, India.

Rahat Indori. Is One Of The Maximum Acclaimed Superstar Urdu Poet And A Bollywood Lyricist. Prior To This He Changed Into A Pedagogist Of Urdu Literature At Indore University. Rahat Indori Is Understood And Loved Among His Tens Of Tens Of Millions Of Fans Worldwide For His Poetic Brilliance And A Totally Ordinary Style Of Rendering Ash’Aars.

Read Right Here On Zopra Zone  All Rahat Indori’S Poetry, Ghazals, Shayari, Politics, Love, Sadness And All Different Subjects In Two Line, Four Line And Full Formats.








Ghar Se Soch Ke Nikla Hun Ki Mar Jaana Hai,

Ghar Se Soch Ke Nikla Hun Ki Mar Jaana Hai,
Ab Koi Raah Dikha De Ki Kidhar Jaana Hai.

Jism Se Saath Nibhaane Ki Mat Ummeed Rakho,
Iss Musaafir Ko Toh Raaste Mein Thehar Jaana Hai.

Maut Lamhe Ki Sadaa Zindegi Umron Ki Pukaar,
Main Yahi Soch Ke Zinda Hun Ki Mar Jaana Hai.

Nasha Aisa Tha Ki Mai-Khane Ko Duniya Samjha,
Hosh Aaya Toh Khyaal Aaya Ki Ghar Jaana Hai.

Mere Jazbe Ki Badi Qadar Hai Logon Mein Magar,
Mere Jazbe Ko Mere Saath Hi Mar Jaana Hai. !!

– Rahat Indori
Charaaghon Ko Uchhaala Ja Raha Hai,

Charaaghon Ko Uchhaala Ja Raha Hai,
Hawa Par Raub Dala Ja Raha Hai.

Na Haar Apni Na Apni Jeet Hogi,
Magar Sikka Uchhaala Ja Raha Hai.

Woh Dekho Maikade Ke Raaste Mein,
Koi Allaah Wala Ja Raha Hai.

The Pehle Hi Kayi Saanp Aasteen Mein,
Ab Ek Bichchhu Bhi Pala Ja Raha Hai.

Mere Jhoote Gilaason Ki Chhakaa Kar,
Behakton Ko Sambhaala Ja Raha Hai.

Humin Buniyaad Ka Patthar Hain Lekin,
Humein Ghar Se Nikaala Ja Raha Hai.

Janaaze Par Mere Likh Dena Yaaro,
Mohabbat Karne Wala Jaa Raha Hai. !!

– Rahat Indori

Chamakte Lafz Sitaaron Se Chheen Laaye Hain,

Chamakte Lafz Sitaaron Se Chheen Laaye Hain,
Hum Aasmaan Se Ghazal Ki Zameen Laaye Hain.

Woh Aur Honge Jo Khanjar Chhupaa Ke Laate Hain,
Hum Apne Saath Phati Aasteen Laaye Hain.

Humari Baat Ki Gehraayi Khaak Samjhenge,
Jo Parbaton Ke Liye Khurdbeen Laaye Hain.

Hanso Na Hum Pe Ki Hum Badnaseeb Banjaare,
Saron Pe Rakh Ke Watan Ki Zameen Laaye Hain.

Mere Qabeele Ke Bachchon Ke Khel Bhi Hain Ajeeb,
Kisi Sipaahi Ki Talwaar Chheen Laaye Hain. !!

– Rahat Indori
Andar Ka Zehar Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye,

Andar Ka Zehar Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye,
Kitne Shareef Log The Sab Khul Ke Aa Gaye.

Sooraj Se Jung Jeetne Nikle The Bewqoof,
Saare Sipaahi Mom Ke The Ghul Ke Aa Gaye.

Masjid Mein Door Door Koi Dusra Na Tha,
Hum Aaj Apne Aap Se Mil Jul Ke Aa Gaye.

Neendon Se Jung Hoti Rahegi Tamaam Umar,
Aankhon Mein Band Khwaab Agar Khul Ke Aa Gaye.

Sooraj Ne Apni Shakl Bhi Dekhi Thi Pehli Baar,
Aaine Ko Maze Bhi Taqaabul Ke Aa Gaye.

Anjaane Saaye Phirne Lage Hain Idhar Udhar,
Mausam Humare Shehar Mein Kaabul Ke Aa Gaye. !!

– Rahat Indori
Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye,

Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye,
Main Peena Chahta Hun Pila Deni Chahiye.

Allaah Barkaton Se Nawaazega Ishq Mein,
Hai Jitni Poonji Paas Laga Deni Chahiye.

Dil Bhi Kisi Faqeer Ke Huzre Se Kam Nahin,
Ye Duniya Yahin Pe Laa Ke Chhupa Deni Chahiye.

Main Khud Bhi Karna Chahta Hun Apna Saamna,
Tujh Ko Bhi Ab Naqaab Utha Deni Chahiye.

Main Phool Hun Toh Phool Ko Guldaan Ho Naseeb,
Main Aag Hun Toh Aag Bujha Deni Chahiye.

Main Taaj Hun Toh Taaj Ko Sar Pe Sajaayen Log,
Main Khaak Hun Toh Khaak Udaa Deni Chahiye.

Maine Jabr Hun Toh Jabr Ki Taaiid Band Ho,
Main Sabr Hun Toh Mujh Ko Dua Deni Chahiye.

Main Khwaab Hun Toh Khwaab Se Chaunkaaiye Mujhe,
Main Neend Hun Toh Neend Udaa Deni Chahiye.

Sach Baat Kaun Hai Jo Sar-E-Aam Keh Sake,
Main Keh Raha Hun Mujh Ko Saza Deni Chahiye. !!

– Rahat Indori
Sirf Khanjar Hi Nahin Aankhon Mein Paani Chahiye,

Sirf Khanjar Hi Nahin Aankhon Mein Paani Chahiye,
Aye Khuda Dushman Bhi Mujh Ko Khaandaani Chahiye.

Shehar Ki Saari Alif-Lailaayen Burhi Ho Chuki,
Shehzaade Ko Koi Taaza Kahaani Chahiye.

Maine Aye Sooraj Tujhe Pooja Nahin Samjha Toh Hai,
Mere Hisse Mein Thodi Dhoop Aani Chahiye.

Meri Qeemat Kaun De Sakta Hai Iss Bazaar Mein,
Tum Zulekha Ho Tumhe Qeemat Lagaani Chahiye.

Zindagi Hai Ek Safar Aur Zindagi Ki Raah Mein,
Zindagi Bhi Aaye Toh Thokar Lagaani Chahiye.

Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chhalka Diya,
Ek Samundar Keh Raha Tha Mujh Ko Paani Chahiye.

– Rahat Indori
Shajar Hain Ab Samar Aasar Mere,


Shajar Hain Ab Samar Aasar Mere,
Chale Aate Hain Daavedaar Mere.

Muhaajir Hain Na Ab Ansaar Mere,
Mukhaalif Hain Bahut Iss Baar Mere.

Yahan Ek Boond Ka Mohtaaj Hun Main,
Samandar Hain Samandar Paar Mere.

Abhi Murdon Mein Roohen Phoonk Daalen,
Agar Chaahen Toh Ye Beemaar Mere.

Hawaayen Odh Kar Soya Tha Dushman,
Gaye Bekaar Saare Waar Mere.

Main Aa Kar Dushmanon Mein Bas Gaya Hun,
Yahan Humdard Hain Do-Chaar Mere.

Hansi Mein Taal Dena Tha Mujhe Bhi,
Khafa Kyon Ho Gaye Sarkaar Mere.

Tasawwur Mein Na Jaane Kaun Aaya,
Mehak Uthe Dar-O-Deewar Mere.

Tumhara Naam Duniya Jaanti Hai,
Bahut Ruswa Hain Ab Ashaar Mere.

Bhanwar Mein Ruk Gayi Hai Naav Meri,
Kinaare Reh Gaye Uss Paar Mere.

Main Khud Apni Hifaazat Kar Raha Hun,
Abhi Soye Hain Pehredaar Mere. !!

– Rahat Indori









Post a Comment

0 Comments