Wasi Shah Poetry,Romantic Love Poetry By Wasi Shah, Wasi Shah Sad Poetry With Picture

Wasi Shah Poetry, Romantic Love Poetry By Wasi Shah, Wasi Shah Sad Poetry With Picture.
Best Urdu Sad Poetry, Urdu Romantic Poetry, 


Wasi Shah 

 Syed Wasi Shah Is A Pakistani Urdu Poet, Dramatist, Columnist, Creator, Anchor And Low Actor. Wasi Commenced His Profession By Way Of Acting In His Very Own-Scripted Serial, He Left Performing To Be Able To Pursue His Profession In Poetry

Wasi Shah Wrote Many Books, Consisting Of Mujhay Sandal Kar Do, Mere Ho Kar Raho, Ankhain Bheeg Jati Hain. Mujhay Sandal Kar Do. Wasi Has Written Many Plays Including Babul, Thorhi Si Jaga Chaiye And Ek Tamanna Lahasil Si For Which He Turned Into Nominated Asbest Writer Drama Serial At 1St Hum Awards.

Born As Syed Wasi Shah In Sargodha, Punjab, Wasi Has A Punjabi Dialect. His Become Seven When His Father Died Of Heart Attack. Wasi Married In 2001, He Met His Wife In The Course Of His Live In Islamabad Even As Of His First Capturing Of Drama. Wasi And His Spouse Have Four Youngsters.























                                       



Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga

Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe
Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga

Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge
Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga

Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga

Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha
Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga

Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga

Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga

Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun
Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga

Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga

Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga

Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga.

-Wasi Shah

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aye Ga Wo Shakhs Humara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi.. Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai K Yehi Khail Dobara Hoga,

Jis K Hone Se Meri Sans Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga,

Ye Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga,

Ishq Karna Hai To Din Raat Usy Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga,

Ye Jo Pani Main Chala Aya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga,

Kon Rota Hai Yahan Raat K Sannaton Me
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga,

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seeny Main Koi Dard Utara Ho Ga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga.

-Wasi Shah

Apne Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do 

Apne Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Me K Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kar Do

Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot K Chaho K Mujhe Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do

Dhoop Hi Dhoop Hun Me Toot K Barso Mujh Par
Me To Sehra Hun Mujhe Pyar Ka Badal Kar Do

Is K Saye Me Mere Khawab Mehak Uthen Ge
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kar Do

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par
Ek Nazar Pyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kar Do.

- Wasi shah


Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tumhara Nam Parhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Huns Kar Jhail Leta Hun Judai Ki Sabhi Rasmen
Galy Jab Us K Lagta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Na-Jany Ho Gaya Hun Is Qadar Hassas Me Kab Se
Kisi Se Bat Karta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Wo Sab Guzry Hue Lamhaat Mujh Ko Yad Ate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Magr Junhi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Har Aik Muflis K Mathy Par Alam Ki Dastany Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Bary Logon K Oonchy, Bad-Numa Or Sard Mehlon Ko
Gareeb Ankhon Se Takta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tere Koochy Se Ab Mera Ta'aluq Wajabi Sa Hai
Magr Jab Bhi Guzrta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Hazar Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe WASI
Me Jab Bhi Hansta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain.

-Wasi Shah
Bandh Lein Hath Pe 

Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko
jee mein aata hai ki taaveez bana lein tum ko.

Phir tumhen roz sanwaaren, tumhen badhta dekhen
kyon na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko.

Jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldaan mein phool sa saja lein tum ko.

Kya ajab khwaahish uthti hain humare dil mein
kar ke munna sa, hawaaon mein uchhaalen tum ko.

Iss qadar toot kar tum par pyaar aata hai
apni baahon mein bharen maar hi daalen tum ko.

Kabhi khwaabon ki tarha aankh ke parde mein raho
kabhi khwaahish ki tarha dil mein bula lein tum ko.

Hai tumhare liye kuchh aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein dua sa utha lein tum ko.

Jaan dene ki ijaazat bhi nahin dete ho
warna mar jaayen abhi mar ke manaa lein tum ko.

Jis tarha raat ke seene mein hai mahtaab ka noor
apne taareek makaanon mein sajaa lein tum ko.

Ab toh bas ek hi khwaahish hai kisi mod par tum
hum ko bikhre hue mil jaao, sambhaalen tum ko.

-Wasi Shah
Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,

Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
yaadon se koi raat jo khaali nahin jaati.

Ab umar, na mausam, na woh raaste ki wo palte
iss dil ki magar kham khyali nahin jaati.

Maange tu agar jaan bhi hans ke tujhe de dein,
teri toh koi baat bhi taali nahin jaati.

Aaye koi aa kar tere dard sambhaale,
hum se toh ye jageer sambhaali nahin jaati.

Maloom humhein bhi hain bahut se tere qissey,
par baat teri hum se uchhaali nahin jaati.

Humraah tere phool khilte the jo dil mein,
ab shaam wohi dard se khaali nahin jaati.

Hum jaan se jaayege tab hi baat banegi,
tum se toh koi raah nikaali nahin jaati. !!

– Wasi Shah
Ab bhi uss ke khat aate ha

Ab bhi uss ke khat aate ha.
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte ,
Mausam, khushboo, ghar walon ki baaten kar ke,
Apne dil ka haal sabhao se likhti hai .
Ab bhi uss ke sab lafzon se kachche jazbe phoot aate hain,
Ab bhi uss ke khat mein mausam geet sunaane lag jaate hain.
Ab bhi dhoop nikal aati hai baadal chhaane lag jaate hain.
Ab bhi uss ke jism ki khushboo haathon se ho kar lafzon tak,
Aur phir mujh tak aati hai.
Ab bhi uss ke khat mein aksar chaand ubharne lagta hai.
Shaam utre toh un lafzon mein sooraj doobne lagta hai .
Ab bhi uss ke khat padh kar mujh mein kuchh tootne lagta hai.
Ab bhi khat ke kone mein woh ek deep jalaati hai .
Ab bhi mere naam pe apne ujle honth bana deti hai .
Ab bhi uss ke khat aa jate hain.
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte,
Ab bhi uss ke khat aate hain.

– Wasi Shah

Kal humesha ki tarah uss ne keha ye phone par.

Kal humesha ki tarah uss ne keha ye phone par.
“Main bahut masroof hun mujh ko bahut se kaam hain

Iss liye tum aao milne main toh aa sakti nahin.
Har riwayat tod kar iss baar maine keh diya.

“Tum jo ho masroof toh main bhi bahut masroof hun.
Tum jo ho mash-hoor toh main bhi bahut maroof hun.

Tum agar ghumgeen ho main bhi bahut ranjoor hun.
Tum thakan se choor toh main bhi thakan se choor hun.

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi keemati.
Kuchh puraane doston ne milne aana hai abhi.

Main bhi ab faarigh nahin, mujh ko bhi laakhon kaam hain..
Warna kehne ko toh sab lamhe tumhare naam hain.

Meri aankhen bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe.
Ratjaggon ke baad ab neendon mein khona hai mujhe.

Main lahoo apni anaa’on ka baha sakta nahin.
Tum nahin aati toh milne main bhi aa sakta nahin.

Uss ko ye keh ke ‘wasi maine reciver rakh diya,
Aur phir apni anaa ke paaon pe sar rakh diya.

– Wasi Shah

For Baba Bulleh's Poetry Click Here >>

For Mirza Ghalib's Poetry Click Here >> 

For Gulzar's Poetry Click Here >> 

For Parveen Shakir's Poetry Click Here >> 

For Faiz Ahmed Faiz's Poetry Click Here >> 

For Ahmed Faraz 's Poetry Click Here >> 




Post a Comment

0 Comments